jab koi phul musaKHKHar na ho aasani se

jab koi phul musakhkhar na ho aasani se
kaam leta hun wahan naqd-e-sana-khwani se

raushni dene lage the meri aankhon ke charagh
raat takta tha samundar mujhe hairani se

kar ke dekhunga kisi tarah lahu ki barish
aatish-e-hijr bujhegi na agar pani se

un ko pane ki tamanna nahin jati dil se
kya munawwar hain sitare meri tabani se

koi masruf hai tazin mein qasr-e-dil ki
chob-kari se kahin aaina-samani se

khak-zadon se talluq nahin rakhte kuchh log
mezbani se gharaz un ko na mehmani se

main isi khak pe baitha hun bade shauq ke sath
koi nisbat nahin ab tak mujhe sultani se

band ho jae agar rauzan-e-imkan-e-khayal
khwab khulte hain mere dil mein farawani se

meri surat se jo bezar hain ab bhi 'sajid'
kab wo khush honge mere tarz-e-musalmani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close