jab meri kahani mein wo kirdar nahin ab

jab meri kahani mein wo kirdar nahin ab
ja man liya pahle sa mear nahin ab

le tere hi kahne pe tujhe chhod diya hai
kyon aur kahan kaise ki takrar nahin ab

kuchh shauq na hasrat na tamanna na guzarish
duniya se mera koi sarokar nahin ab

wahshat bhi tabiat mein hai aur josh-e-junun bhi
takrane ko sar samne diwar nahin ab

ab zabt nahin baqi hai dil bhar chuka mera
ye tane ye bigdi hui guftar nahin ab

ab koi bhi dawa nahin kar sakta hai mujh par
duniya mein koi bhi mera haqdar nahin ab

is dil ko 'siya' rog lagana nahin achchha
bas aur udasi bhare ashaar nahin ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close