jab sabaq de unhen aaina khud-arai ka haal kyun puchhen bhala wo kisi saudai ka mahw hai aks-e-do-alam meri aankhon mein magar tu nazar aata hai markaz meri binai ka donon aalam rahe aaghosh-kusha jis ke liye main ne dekha hai wo aalam teri angdai ka aaina dekh kar insaf se kah de zalim kya mera ishq hai maujib meri ruswai ka 'sehr' masjud-e-do-alam kiya us ko jis ne naqsh hi naqsh wo meri hi jabin-sai ka