jis se wafa ki thi ummid us ne ada kiya ye haq auron se irtibaat ki aur mujhe diya qalaq teri jafa wafa sahi meri wafa jafa sahi khun kisi ka bhi nahin to ye bata hai kya shafaq mushaf-e-rukh hi dard tha aur na tha koi khayal ishq ne khud padha diya husn ka ek ek waraq aur to hain riwayaten mazhab-e-ishq hai sahih roz ata ho shauq se wahi nai naya sabaq jazba-e-dil ghalat sahi kuchh to subut-e-ishq dekh tafta jigar hawas gum khira nazar kaleja shaq 'sehr' to mujtahid hai khud kyun ho muqallid aur ka bahr o radif o qafiya hai fann-e-shairi adaq