jab se apne ghar ke baam-o-dar se nikle hain

jab se apne ghar ke baam-o-dar se nikle hain
kaise kaise manzar pas-manzar se nikle hain

narm zamin aur pani ke muhtaj nahin hain hum
hum to wo konpal hain jo patthar se nikle hain

koi to apne jaisa apne andar hai maujud
apni zat ke bahar kis ke dar se nikle hain

shor ki chadar ke pichhe hai khamoshi ka raqs
sannate aawazon ke paikar se nikle hain

kis se jang ladenge kis ko fath karenge hum
dushman ke hathiyar khud apne ghar se nikle hain

na-manus fazaon ko 'ashfaq' na do ilzam
khauf ke jo bhi raste hain andar se nikle hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close