umr-bhar ka hua ziyan jaanan hum yahan aur tum wahan jaanan nind aai nahin kai din se khwab hone lage garan jaanan kaun jaane teri meri uljhan kaun samjhega ye zaban jaanan baad tere yahi raha aalam dhul hi dhul aur dhuan jaanan tu bhi zahir nahin zamane pe main bhi hota nahin ayan jaanan