jab se main khud-shanas ho gaya hun khamushi ka niwas ho gaya hun gham se yun ru-shanas ho gaya hun bewgi ka libas ho gaya hun dosto tum uchhaal do hawa mein main ki khali gilas ho gaya hun kitne sawan baras chuke mujh par jalte sahra ki pyas ho gaya hun tu mile to main sabz ho jaun hijr mein zard ghas ho gaya hun maut ki khushbu aa rahi hai 'munir' main ki bimar ki sans ho gaya hun