jab tak bulandiyon pe adab se khadi rahi ye kaamrani sab ki nazar mein badi rahi wahshat mein wo sadaen to deta raha mujhe main khak thi to khak mein hi bas padi rahi dilkash mujhe banaya musawwir ne jaane kyon jo bandishon ke frame mein har dam jadi rahi us ne kaha ki jism ke through ruh ki hai rah main bypass road ki zid par adi rahi yun to kalai par hai sabhi ke ghadi magar bas main kahan kisi ke koi bhi ghadi rahi main mom ka badan liye chalti rahi 'ana' aur dhup mere sar pe hamesha kadi rahi