jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega

jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega
is dil ki yurishon ka tasalsul na jaega

khemon se ta-furaat jo dariya-e-khun hai ye
us par se maslahat ka koi pul na jaega

us ko guman nahin tha ki ahd-e-khizan mein bhi
ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaega

ye abr-e-agahi jo barasta raha yunhi
mitti ka ye wajud mera ghul na jaega

girta rahega yunhi balaon ka aabshaar
jab tak ghubar-e-qalb-o-nazar dhul na jaega

wo shakhs to khudai ke dawe pe tul gaya
is had pe hum samajhte the bilkul na jaega

bas ai nigar-e-zist yaqin aa gaya hamein
ye teri be-rukhi ye tammul na jaega

'anjum' nigar-e-zist ko phir chahiye wahi
ek sar jo khwahishon ke ewaz tul na jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close