jab tasawwur mein na paenge tumhein phir kahan dhundne jaenge tumhein tum ne diwana banaya mujh ko log afsana banaenge tumhein hasrato dekho ye virana-e-dil is nae ghar mein basaenge tumhein meri wahshat mere gham ke qisse log kya kya na sunaenge tumhein aah mein kitna asar hota hai ye tamasha bhi dikhaenge tumhein aaj kya baat kahi hai tum ne phir kabhi yaad dilaenge tumhein 'saif' yun chhod chale ho mahfil jaise wo yaad na aaenge tumhein