mangi mil-jul kar jo rindon ne dua barsat ki jhum kar aa hi gai kali ghata barsat ki kyun na hun kali ghataen barq-za barsat ki aag pani mein lagati hai hawa barsat ki apni ummidon ki kheti hai hawa barsat ki sal-bhar tak mangte hain hum dua barsat ki ruh-parwar hai bahaar-e-jaan-faza barsat ki kitni farhat-bakhsh hai thandi hawa barsat ki sabza-e-khwabida jage ji uthi murda zamin kar gai kar-e-masihai ada barsat ki ibtida jaan-e-kharif aur intiha ruh-e-rabi ibtida bhi hai wahi jo intiha barsat ki allah allah gesu-e-mushkin-o-shab-gun ki bahaar aasman par jis tarah kali ghata barsat ki iltihab-o-siz-e-dil hain bais-e-sailab-e-ashk hai azal ke din se garmi rahnuma barsat ki apne mitne ke tasawwur mein hai rota aasman aur haqiqat kuchh nahin us ke siwa barsat ki mere ashkon ki jhadi se pani pani ho gai ban na aai aisi kuchh bigdi hawa barsat ki apne daman mein liye zinat urus-e-nau-bahaar odh kar aai hai gulshan mein rida barsat ki sard-o-garm-e-dahr ne khincha wo khatt-e-etidal thik utri jism-e-fitrat par qaba barsat ki ye ghazal likkhi to hai 'shoala' magar az ru-e-fan de gai charka shikast-e-na-rawa barsat ki