jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin

jab tumhaara zalimon se koi bhi rishta nahin
kis liye tum ne shaha phir zulm ko roka nahin

waqt ke badle hue rukh ne panahen chhin lin
hum pas-e-diwar baithe hain magar saya nahin

aasman kuchh to bata ya imtihan hai ya saza
silsila zulm-o-sitam ka kis liye rukta nahin

sab ne kanton hi pe chal kar pai hai manzil yahan
kaamyabi ke safar mein to koi tanha nahin

tajirana zehniyat le kar mila karte hain log
ab kisi ka bhi kisi se be-gharaz rishta nahin

phir zamane ke thapedo aao takraate hain hum
main abhi tuta nahin hun main abhi bikhra nahin

us se bachhda to akela ho gaya 'athar-shakil'
ab kisi ke sath us ka pyar ka rishta nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close