jahan-bhar se na yun mera tazkira kije

jahan-bhar se na yun mera tazkira kije
main dil ka raaz hun dil se mera gila kije

ye kya yaqin ki samajh lega har ishaara wo
labon ka farz nigahon se kyun ada kije

nasib mein jo kabhi subh ka ujala ho
to mil hi jaega har raat kya dua kije

khulus ko bhi yahan maslahat kahenge log
bhala yahi hai kisi se na jo bhala kije

dar-e-hawas pe hai har-lahza ek nai dastak
jo khud se chhupte na phirye to aur kya kije

ye ji mein hai ki tera but tarash kar barson
tere huzur khade arz-e-muddaa kije

tumhaare haal se hum be-khabar nahin 'anjum'
par ab batao ki kya ranj ke siwa kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close