jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai

jahan-e-husn-o-nazar se kinara karna hai
wajud-e-shab ko mujhe istiara karna hai

mere daricha-e-dil mein thahar na jae kahin
wo ek khwab ki jis ko sitara karna hai

tamam shahr andheron mein dub jaega
hawa ko ek hi us ne ishaara karna hai

ye qurbaton ke hain lamhe inhen ghanimat jaan
inhi dinon ko to hum ne pukara karna hai

wo doston ko bataega pyar ka qissa
aur us ne zikr bahut kam hamara karna hai

meri nigah mein jachta nahin koi 'asif'
visal-e-yar ko hasil dobara karna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close