KHwabon mein masruf hai tu par meri ye bedari dekh

khwabon mein masruf hai tu par meri ye bedari dekh
meri raaton ki syahi mein rang-e-khun ko tari dekh

dekh tu meri ghurbat ko aur meri murda aankhon ko
meri murda aankhon se tu ab bhi aansu jari dekh

tujh ko dene ko hai mere pas bata kya kuchh bhi nahin
tujh se baaten teri yaaden meri daulat sari dekh

meri jaan ke sath sath ab sare lafz-e-fana mere
in ko ek ek kar ke jate tu ab bari bari dekh

zehn mein ek taswir thi teri apni sari daulat jo
aaj yahan par khel khel mein hum ne wo bhi haari dekh

gird mere har ja har dam ek shor sunai deta tha
khamoshi bhi dekh le ab tu aa kar lash hamari dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close