jaisa kahta hai tu waisa nahin karne wali ab tere sath main achchha nahin karne wali aise dekho na mohabbat ka guman hota hai wada lena hai to wada nahin karne wali mujh se waqif ho to inkar ye karte kyun ho man lo pyar ko ruswa nahin karne wali mere aangan ke sabhi phul bahut mahnge hain apne gulshan ko main sahra nahin karne wali tu majazi hai haqiqi to nahin hai mera so tere ishq mein sajda nahin karne wali meri fitrat mein mohabbat hi faqat gundhi gai apni fitrat se kinara nahin karne wali chand aankhon mein liye phirti hun main aaj 'diya' ashk palkon ka sitara nahin karne wali