ras aaya nahin hum ko tera aate rahna yun tera barson talak wada nibhate rahna tu ne ye jaana na aadab-e-mohabbat kya hai har mulaqat pe milne tera aate rahna raegan ho gaya wo gana tera rag basant mausam-e-khar mein phulon ko ugate rahna ek sada teri bhi shamil thi hujum-e-tiflan har sahar chhajje pe mujh ko bhi bulate rahna jaanta to nahin kante to mere dil mein chubhe phul tera meri rahon mein bichhate rahna hai ye be-qufl qafas par wo parinda na uda qissa-e-ishq tera us ko sunate rahna tere jaisa bhi hai ek shakhs zamane bhar mein kab talak majnun aur ranjhon ko ginate rahna rakh jab main ne kuredi to kahe chingari kaam tum jaison ka hai duniya jalate rahna ru-ba-ru aaine ke roz main aaun kaise kitna mushkil hai nazar khud se milate rahna