jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par

jala hai kis qadar dil zauq-e-kawish-ha-e-mizhgan par
ki sau sau nashtaron ki nok hai ek ek rag-e-jaan par

pada hoga magar aks-e-ezar-e-lala-gun warna
ye gustakhi hamara khun aur qatil ke daman par

tariq-e-ishq mein hai ranj pahle aur khushi pichhe
madar-e-subh roz-e-wasl hai ek sham-e-hijran par

meri diwangi roz-e-qayamat mere kaam aai
qalam rahmat ka khincha us ne aakhir mere isyan par

agar un ke taghaful ko hai dawa apni tamkin ka
hamari khud-faramoshi ko hai naz apne nisyan par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close