jalwa-e-husn ko mahrum-e-tamashai kar

jalwa-e-husn ko mahrum-e-tamashai kar
be-niyazi sifat-e-lala-e-sahrai kar

han bade shauq se shamshir ke eajaz dikha
han bade shauq se dawa-e-masihai kar

main to majbur hun aadat se kahe jaunga
tu koi baat na sun aur na pazirai kar

apne bimar ki ye aakhiri ummid bhi dekh
malak-ul-maut se kahta hai masihai kar

mujh ko le ja ke dar-e-yar pe qasid ne kaha
khama-farsai na kar nasiya-farsai kar

hum teri surat-e-inkar ko pahchante hain
wo tabassum tu sharik-e-lab-e-goyai kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close