jalwa-gar aaj hai wo mehr-e-munawwar ki tarah

jalwa-gar aaj hai wo mehr-e-munawwar ki tarah
bakht apna bhi chamakta hai sikandar ki tarah

us ki raftar hai bas mauja-e-kausar ki tarah
guftugu mein hai khanak shisha-o-saghar ki tarah

kis ko yara-e-sukhan hai use hum bhi dekhen
wo mukhatab hai magar dawar-e-mahshar ki tarah

kya khabar log kise apna khuda kah denge
lakh but hum ne tarashe to hain aazar ki tarah

kis pe is daur-e-pur-ashob mein takiya kije
rahzan bhi to nazar aate hain rahbar ki tarah

manzil-e-faqr-o-ghina kya hai ye hum se puchho
zindagi hum ne guzari hai qalandar ki tarah

kitne tufan hain pinhan koi dekhe to 'habab'
maujzan hai dil-e-shair bhi samundar ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close