jalwa-numai be-parwai han yahi rit jahan ki hai kab koi ladki man ka daricha khol ke bahar jhanki hai aaj magar ek nar ko dekha jaane ye nar kahan ki hai misr ki murat chin ki gudiya dewi hindostan ki hai mukh par rup se dhup ka aalam baal andheri shab ki misal aankh nashili baat rasili chaal bala ki banki hai 'insha'-ji use rok ke puchhen tum ko to muft mila hai husn kis liye phir bazar-e-wafa mein tum ne ye jins giran ki hai ek zara sa gosha de do apne pas jahan se dur is basti mein hum logon ko hajat ek makan ki hai ahl-e-khirad tadib ki khatir pathar le le aa pahunche jab kabhi hum ne shahr-e-ghazal mein dil ki baat bayan ki hai mulkon mulkon shahron shahron jogi ban kar ghuma kaun qarya-ba-qarya sahra-ba-sahra khak ye kis ne phanki hai hum se jis ke taur hon baba dekhoge do ek hi aur kahne ko to shahr-e-karachi basti dil-zadagan ki hai