jalwe behosh na kar den tere diwanon ko shama ki lau na kahin phunk na de parwanon ko kar na talqin-e-adab bazm mein mastanon ko hosh rahta hai kise dekh ke paimanon ko subh ki pahli kiran shab ka hatati hai naqab zindagi az-sar-e-nau milti hai armanon ko zist be-rang thi sada thi kahani dil ki rang bakhsha teri ulfat ne hi afsanon ko ye tabassum ye takallum ye tarannum ye ada be-qarar aur bhi karte hain pareshanon ko chand kante rah-e-duniya se hatae hain zarur gulistan garche banaya na bayabanon ko muddaton ki wo meri tishna-labi hai ki 'habib' takti hai dur se khamosh jo paimanon ko