jam khali hain mai-e-nab kahan se laun aap ka dida-e-pur-ab kahan se laun kah sakun un ki nigahon ka tabassum jis ko ek aisa dil-e-be-tab kahan se laun ishq khud apni jagah par hai mukammal lekin husn ka jauhar-e-nayab kahan se laun samna tum se mohabbat mein jo ho jae kabhi ek naya aalam-e-asbab kahan se laun kaba-o-dair ki rahon se guzar jata hun mahfil-e-naz ke aadab kahan se laun ek hi bar nasheman pe giri hai bijli barha gulshan-e-shadab kahan se laun jo kabhi un ki tawajjoh ka natija thi 'shajia' phir wahi kaifiyat-e-khwab kahan se laun