kuchh KHayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha

kuchh khayal-e-dil-e-nashad to kar lena tha
wo nahin tha to use yaad to kar lena tha

kuchh udanon ke liye apne paron ko pahle
jumbish o jast se aazad to kar lena tha

phir zara dekhte tasir kise kahte hain
dil ko bhi shamil-e-fariyaad to kar lena tha

koi tamir ki surat bhi nikal hi aati
pahle is shahr ko barbaad to kar lena tha

qais ke baad ghazalan ki tasalli ke liye
'hashmi' dasht ko aabaad to kar lena tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close