jama hua hai falak pe kitna ghubar mera

jama hua hai falak pe kitna ghubar mera
jo mujh pe hota nahin hai raaz aashkar mera

tamam duniya simat na jae meri hadon mein
ki had se badhne laga hai ab intishaar mera

dhuan sa uthta hai kis jagah se main jaanta hun
jalata rahta hai mujh ko har pal sharar mera

badal rahe hain sabhi sitare madar apna
mere junun pe tika hai dar-o-madar mera

kisi ke raste pe kaise nazren jamae rakkhun
abhi to karna mujhe hai khud intizar mera

teri itaat qubul kar lun bhala main kaise
ki mujh pe chalta nahin hai khud ikhtiyar mera

bas ek pal mein kisi samundar mein ja girunga
abhi sitaron mein ho raha hai shumar mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close