jaras aur sarbanon tak pahunchna chahta hai

jaras aur sarbanon tak pahunchna chahta hai
ye dil agle zamanon tak pahunchna chahta hai

jununi ho gaya hai mere dariyaon ka pani
pahadon ke gharanon tak pahunchna chahta hai

guzarna chahti hai baadalon se meri hairat
mera shak aasmanon tak pahunchna chahta hai

patanga ek pagal ho gaya hai raushni mein
farishton ki udanon tak pahunchna chahta hai

kasafat khatm kar ke jism ki mitti ka putla
khuda ke kar-khanon tak pahunchna chahta hai

nahin aaya ye azhdar parbaton ki sair karne
zaminon ke khazanon tak pahunchna chahta hai

darinde sath rahna chahte hain aadmi ke
ghana jangal makanon tak pahunchna chahta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close