jata hai yar sair ko gulzar ki taraf meri nigah hai gul-e-rukhsar ki taraf hoti hai mere samne taswir yar ki jab dekhta hun main dar-o-diwar ki taraf ya-rab ho khair aaj ki kuchh dekhta hai wo meri taraf kabhi kabhi talwar ki taraf karta hai qatl aashiq-e-miskin ko bazm mein duzdida dekhna tera aghyar ki taraf hasrat hai ye maren bhi jo qaid-e-qafas mein hum sayyaad phenk de hamein gulzar ki taraf chaak-e-qafas se dekh tu ai andalib-e-zar kuchh lag rahi hai aag si gulzar ki taraf