jatate rahte hain ye hadse zamane ke

jatate rahte hain ye hadse zamane ke
ki tinke jama karen phir na aashiyane ke

sabab ye hote hain har subh bagh jaane ke
sabaq padhate hain kaliyon ko muskurane ke

hazaron ishq-e-junun-khez ke bane qisse
waraq hue jo pareshan mere fasane ke

hain e'tibar se kitne gire hue dekha
isi zamane mein qisse isi zamane ke

qarar-e-jalwa-numai hua hai farda par
ye tul dekhiye ek mukhtasar zamane ke

na phul murgh-e-chaman apni khush-nawai par
jawab hain mere nale tere tarane ke

usi ki khak hai mathe ki zeb banda-nawaz
jabin pe naqsh pade hain jis aastane ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close