jawani ki umangon ka yahi anjam hai shayad

jawani ki umangon ka yahi anjam hai shayad
chale aao ki wade ki suhani sham hai shayad

jo tishna tha kabhi saqi wo tishna-kaam hai shayad
usi bais to nazm-e-mai-kada badnam hai shayad

hansi ke sath bhi aansu nikal aate hain aankhon se
khushi to meri qismat mein barae-nam hai shayad

jise mai-khwar pi ke mai-kade mein raqs karte hain
teri aankhon ki masti saqi-e-gulfam hai shayad

udai shama ne jab khak-e-parwana to main samjha
mohabbat karne walon ka yahi anjam hai shayad

jo ab tak mai-kashon ke pas muddat se nahin aai
abhi gardish mein khud hi gardish-e-ayyam hai shayad

main danista ab un ke samne khamosh hun 'jafar'
khamoshi bhi meri ab morid-e-ilzam hai shayad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close