jawani magar is qadar mastiyan shab-o-roz sham-o-sahar mastiyan na dil mein zara bhi nadamat hui machate rahe raat bhar mastiyan hawaon mein lau thartharaati rahi udhar thi haya aur idhar mastiyan hawas-kariyon ko masarrat na kah mohabbat mein itni na kar mastiyan jawani ganwate hain jo zohd mein budhape mein karte hain khar mastiyan kabhi khalwaton mein takalluf baham kabhi hain sar-e-rahguzar mastiyan badi mushkilon se shab-e-ehtiyat jo guzri to pichhle pahar mastiyan wahin dosti hai jahan ishq hai jidhar khwariyan hain udhar mastiyan adaon ko ulfat samajhta hai tu nahin ai mere be-khabar mastiyan sawabon se un ka sahi fasla gunahon se hain dur-tar mastiyan yahan hikmaten bhi utarti rahin uchhalti rahi hain agar mastiyan piyape tere nam par gardishen dama-dam tere nam par mastiyan koi kaam 'sayyad' ne chhoda nahin kamalat sair-o-safar mastiyan