jazba-e-ishq phir machalta hai

jazba-e-ishq phir machalta hai
dhalte dhalte ye chand dhalta hai

puchhti phir rahi hai os abhi
phul kab pairahan badalta hai

main to chalta hun teri yaad ke sath
rasta mere sath chalta hai

tere aangan mein shab utarti hai
teri khidki se din nikalta hai

khushbuen khushbuon se milti hain
kis liye phul hath malta hai

lakh nazuk sahaare hon lekin
girne wala kahan sambhalta hai

aarzuon ki fasl dil mein hai
chashma aankhon se kyun ubalta hai

hum jhulas to rahe hain ai jaanan
tera suraj bhi to pighalta hai

rae hum ko badalni padti hai
waqt kab faisla badalta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close