sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain

sirf zinda hi nahin hosh sambhaale hue hain
aap ko dasht mein yani abhi hafte hue hain

kaun chahega darakht us ke samar-bar na hon
tu bane is liye hum khud ko mitae hue hain

ye jo bachche hain faqat jhula nahin jhul rahe
shakh pe phul ki manind ye latke hue hain

in darakhton ke fawaed ka tumhein ilm nahin
un ko mat kato ye baba ke lagae hue hain

main bahut khush tha mujhe us ne bulaya hai 'azim'
par yahan jitne hain sab us ke bulae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close