jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo

jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo
ku-ba-ku raushan charag-e-karwan karte chalo

chashm-e-saqi pur-tabassum mai-kada bahka hua
aao qismat ko harif-e-kahkashan karte chalo

chhin lao aasman se mehr-o-mah ki azmaten
aur tute jhonpadon ko zau fashan karte chalo

zindagi ko log kahte hain barae-bandagi
zindagi kat jaegi zikr-e-butan karte chalo

jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru
ishq ki rahon mein kuchh aise guman karte chalo

har nafas ai jine walo shaghl-e-paimana rahe
be-khudi ko zindagi ka pasban karte chalo

chhed kar 'saghar' kisi ke gesuon ki dastan
in shagufon ko zara shoala-zaban karte chalo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close