jhut honton pe bila-khauf-o-khatar aaya hai muddaton shahr mein rah kar ye hunar aaya hai sang-bazon ko khuda jaane khabar kaise hui ek diwana sar-e-rahguzar aaya hai jab bhi thahre hue pani ki tarah marne laga kaam usi waqt mera azm-e-safar aaya hai main bhi choukas tha har ek war se pahle us ke jis taraf se bhi wo aaya hai nazar aaya hai shahr se laut to aaya hai magar lagta hai tera 'khalid' kisi tufan se guzar aaya hai