khush hain bachche nashta maujud hai ghar mein khana raat ka maujud hai tum chale jaoge to dekhenge hum kya nahin hai aur kya maujud hai baat meri tum samajh sakte nahin ghar mein kya koi bada maujud hai dil dhadakta hai tumhaare nam par aaj bhi ye silsila maujud hai wasta dunga na apne pyar ka jaana hai to rasta maujud hai mujh ko tana bewafai ka na den aakhiri khat aap ka maujud hai baat jo us mein nahin banti miyan dusra bhi qafiya maujud hai