jhuT ki miqdar kam hai aur sachchai bahut

jhut ki miqdar kam hai aur sachchai bahut
saf-goi se hui hai meri ruswai bahut

apni kam-goi se qad-awar to chhote ban gae
badh gai laffaz baunon ki ab unchai bahut

be-niyazana main apni justuju mein gum raha
yaad un ki mere dil mein aa ke sharmai bahut

tira-bakhti ne asiri mein nibhaya mera sath
rauzan-e-zindan se yun to raushni aai bahut

khokhle alfaz marham ban na pae ai 'raza'
jhute sachche aansuon ne ki masihai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close