munasib nahin aasra mangna dua mangna bhi to kya mangna agar aandhiyon se mulaqat ho hamare liye bhi hawa mangna kinaron ki ummid girdab se kinaron se mauj-e-bala mangna tazabzub ke aalam mein socha kiye dua mangna ya dawa mangna jahan bat rahi ho khushi tol kar wahan dard be-intiha mangna ajab raste ke musafir hain hum na aaya hamein rasta mangna usi din 'raza' maut aa jaegi kisi din agar pad gaya mangna