ji jaun jo band natiqa ho

ji jaun jo band natiqa ho
khamosh kahin ye bolta ho

jaanbaz jo taraddud bhi tera ho
sau bar mare phir uth khada ho

zarre mein ho nur-e-mahr-wash
tera jo karam ho kya se kya ho

khul jaen hazaron kucha-e-zakhm
talwar chale to rasta ho

zulfon pe jo us ke mar mita hun
turbat pe darakht jal ka ho

ghadiyon ke hain pur-ghubar shishe
mitti koi dil na ho gaya ho

rangin ho qaba-e-tan lahu se
jogi hun libas gerua ho

bakhshe jo falak gham-e-zamana
gham-khwar wo hun ki nashta ho

sani hai tera muhaal ai but
paida na khuda ka dusra ho

tan-e-khak ho hun wo saf tinat
mela na kafan ka rongta ho

wo bosa-e-lab mujhe ki dushnam
darwesh hun kuchh mile bhala ho

yun ai tap-e-gham jala sarapa
sar-ta-qadam ek aabla ho

ai dast-e-khuda jo hath ki hai
hai 'shad' shikasta-pa naya ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close