jis ke hum bimar hain gham ne use bhi randa hai ho chuka darman masiha aap hi darmanda hai jite-ji kya mar gae par bhi wabaal-e-dosh hai jo meri mayyat uthata hai wo deta kandha hai ta-qayamat gardish-e-taqdir jaane ki nahin apni bargashta-nasibi ne wo charkha nanda hai hai ayan har shai se dikhlai nahin deta magar wah re dhat bandi kiya sab ki nazar ko bandha hai hum idhar betab udhar wo barq-wash betab hai kaundti bijli kisi jaanib lapakta kanda hai ud gaya bak-bak se hum nazuk-mizajo ka dimagh pand-go chup rah kahan ka qissa nandha hai dar nahin be-matre ai 'shad' hindi lafz ka is ghazal mein qafiya danista hum ne bandha hai