ji mein hai ek din jhum kar us shokh ko sajda karun sajde se phir allah tak ek rasta paida karun bas ho chuka ahl-e-jahan ab ye tamasha kab talak kya chashm-e-zahir se mila kya dida-e-dil wa karun han han wo bazigar sahi mitti ka ek paikar sahi teri nazar se ham-nashin kaise use dekha karun jaise kahin hai kuchh kami taswir banti hi nahin arz-e-hunar mein kab talak kilk-e-guhar toda karun us se yahi kahta hun wajib ehtiram-e-ishq hai andar se ye khwahish hai wo jaisa kahe waisa karun ye jhilmilata sa jahan gahe ayan gahe nihan thahre to kuchh malum ho dekhun to raaz ifsha karun