jidhar dekhta hun nazara tera hai

jidhar dekhta hun nazara tera hai
asar bandagi ka hai ya moajiza hai

waraq zindagi ke palatte hain jab jab
main hairat se dekhun ki kya kya likha hai

ye maujen ye sahil ye kashti ye dariya
na jaane kahan nakhuda lapata hai

wahi mod hain aur wahi rahguzar bhi
ghazab ye hai ki har musafir naya hai

lagate raho lakh chehre pe chehre
magar yaad ho samne aaina hai

na panghat na rishte na sukh-dukh ki baaten
mera ganw ab shahr jo ban gaya hai

bahakne lagi hai zaban ab to un ki
yun daulat-o-shohrat ka chadhta nasha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close