jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain

jin ke liye apne to yun jaan nikalte hain
is rah mein we jaise anjaan nikalte hain

kya tir-e-sitam us ke sine mein bhi tute the
jis zakhm ko chirun hun paikan nikalte hain

mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab khak ke parde se insan nikalte hain

kis ka hai qimash aisa gudad bhare hain sare
dekho na jo logon ke diwan nikalte hain

gah lohu tapakta hai gah lakht-e-dil aankhon se
ya tukde jigar hi ke har aan nikalte hain

kariye to gila kis se jaisi thi hamein khwahish
ab waise hi ye apne arman nikalte hain

jagah se bhi jate ho munh se bhi khashin ho kar
we harf nahin hain jo shayan nikalte hain

so kahe ko apni tu jogi ki si pheri hai
barson mein kabhu idhar hum aan nikalte hain

un aaina-ruyon ke kya 'mir' bhi aashiq hain
jab ghar se nikalte hain hairan nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close