nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki

nikohish hai saza fariyaadi-e-be-dad-e-dilbar ki
mabaada khanda-e-dandan-numa ho subh mahshar ki

rag-e-laila ko khak-e-dasht-e-majnun reshgi bakhshe
agar bowe baja-e-dana dahqan nok nishtar ki

par-e-parwana shayad baadban-e-kashti-e-mai tha
hui majlis ki garmi se rawani daur-e-saghar ki

karun be-dad-e-zauq-e-par-fishani arz kya qudrat
ki taqat ud gai udne se pahle mere shahpar ki

kahan tak roun us ke kheme ke pichhe qayamat hai
meri qismat mein ya-rab kya na thi diwar patthar ki

ba-juz diwangi hota na anjam-e-khud-arai
agar paida na karta aaina zanjir jauhar ki

ghurur-e-lutf-e-saqi nashsha-e-be-baki-e-mastan
nam-e-daman-e-isyan hai tarawat mauj-e-kausar ki

mera dil mangte hain aariyat ahl-e-hawas shayad
ye jaana chahte hain aaj dawat mein samundar ki

'asad' juz aab-e-bakhshidan ze-dariya khizr ko kya tha
dubota chashma-e-haiwan mein gar kashti sikandar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close