jine ki hai ummid na marne ka yaqin hai ab dil ka ye aalam hai na duniya hai na din hai gum hain reh-e-taslim mein talib bhi talab bhi sajda hi dar-e-yar hai sajda hi jabin hai kuchh mazhar-e-baatin hun to kuchh mahram-e-zahir meri hi wo hasti hai ki hai aur nahin hai iza ke siwa lazzat-e-iza bhi milegi kyun jalwa-gah-e-hosh yahan dil bhi kahin hai mayus sahi hasrati-e-maut hun 'fani' kis munh se kahun dil mein tamanna hi nahin hai