jis ko hona hai wo in aankhon se ojhal ho jae

jis ko hona hai wo in aankhon se ojhal ho jae
us se pahle ki mera kaam mukammal ho jae

main to bas dekhta rahta hun zaminon ke katao
aadmi sochne wala ho to pagal ho jae

kahin aisa na ho virane hon phir se aabaad
kahin aisa na ho har shahr hi jangal ho jae

ye zamin jis pe hai gulzaron ki tadad bahut
ye bhi ho sakta hai kal ko wahi maqtal ho jae

reg-zaron se bukharaat hi uthte hain magar
kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jae

mera pindar hi diwar hai nakaami ki
ye jo gir jae to har khwab mukammal ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close