jis ko tai kar na sake aadmi sahra hai wahi aur aakhir mere raste mein bhi aaya hai wahi ye alag baat ki hum raat ko hi dekh saken warna din ko bhi sitaron ka tamasha hai wahi apne mausam mein pasand aaya hai koi chehra warna mausam to badalte rahe chehra hai wahi ek lamhe mein zamana hua takhliq 'malal' wahi lamha hai yahan aur zamana hai wahi