jism to mitti mein milta hai yahin marne ke baad us ko kya roen jo marta hi nahin marne ke baad farz par qurban hone ka ek apna husn hai aur ho jata hai kuchh insan hasin marne ke baad ek yahi gham khae jata hai ki us ka hoga kya kaun rakkhega mera husn-e-yaqin marne ke baad ye mahal ye mal o daulat sab yahin rah jaenge hath aaegi faqat do gaz zamin marne ke baad zindagi tak ke hain rishte zindagi tak hai bahaar tum kahin ai 'tarz' hoge wo kahin marne ke baad