jo ab se pahle tha lahja nahin wo aaj mera na jaane ruth gaya mujh se kyon mizaj mera bana diya hai tujhe mehnaton se rashk-e-iram zamin ye hai tere waste khiraj mera jahan muaf kiya qatilon ko munsif ne wahin pe darj kiya main ne ehtijaj mera har ek wajud mein main hun hararaten ban kar hai zindagi ke anasir mein imtizaj mera meri reaya kabhi mujh se munharif na hui 'sharar' hamesha raha raushni pe raj mera