jo baat dil mein thi kaghaz pe kab wo aai hai

jo baat dil mein thi kaghaz pe kab wo aai hai
ki ab qalam mein to mange ki raushnai hai

yahi nahin ki dhuan chubh raha hai aankhon mein
kuan bhi samne hai aur aqab mein khai hai

main apne jism ke dhabbe chhupae phirta hun
mere libas se mahngi meri dhulai hai

jo tere qurb mein guzri na teri furqat mein
wo umr hum ne na-jaane kahan ganwai hai

sadaf hain ya ki guhar jhag hain ki ret faqat
hamare waste kya le ke mauj aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close