tanhaiyon ke dard se rista hua lahu

tanhaiyon ke dard se rista hua lahu
diwar-o-dar udas hain har shai hai zard-ru

khamoshiyon mein dub gai zindagi ki sham
aawaz de ke jaane kahan chhup gaya hai tu

aankhon mein jagti hi rahi nind raat bhar
chalti rahi khayal ke sahra mein garm lu

sahil pe dubne lagi aab-e-rawan ki lau
barpa tha zard ret ka tufan chaar-su

wadi mein nilgun sa dhuan rengne laga
ghabra ke dam na tod de jhilon mein justuju

muddat ke baad laut ke aaya jab apne ghar
ek aks aaine mein ye kahne laga ki tu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close